aise lamhe par hamein qurban ho jaana pada ek hi laghzish mein jab insan ho jaana pada be-niyazana guzarne par uthin jab ungliyan mujh ko apne ahd ki pahchan ho jaana pada zindagi jab na-shanasi ki saza banti gai rabton ki khud mujhe mizan ho jaana pada reza reza apna paikar ek nai tartib mein canwas par dekh kar hairan ho jaana pada saaton ki aahani zanjir mein jakdi hui sans ki tartib par qurban ho jaana pada wo to lamhon ke sisakte daeron mein qaid hai jis ko apne aap se anjaan ho jaana pada ek paheli ki tarah na-faham the hum bhi 'zahir' aap ki khatir magar aasan ho jaana pada