aisi wahshat pe main qurban bhi ho sakta hun main jo dariya hun bayaban bhi ho sakta hun hansne rone ke alawa bhi rasai hai meri main agar chahun to hairan bhi ho sakta hun main ki jis khak mein pamal hua jata hun main isi khak pe ehsan bhi ho sakta hun mujh pe mushkil na bana guzri hui yaadon ko main tujhe bhul ke aasan bhi ho sakta hun itne gham dete hue ye bhi na socha us ne main kisi gham mein pareshan bhi ho sakta hun main ki jis shauq mein aabaad hun 'maqsud' 'wafa' main usi shauq mein viran bhi ho sakta hun