ajab ahwal dekha is zamane ke amiron ka

ajab ahwal dekha is zamane ke amiron ka
na un ko dar khuda ka aur na un ko khauf piron ka

misal-e-mahr-o-mah din raat khate charkh phirte hain
falak ke hath se ye haal hai raushan-zamiron ka

qafas mein phenk hum ko phir wahin sayyaad jata hai
khuda hafiz hai gulshan mein hamare ham-safiron ka

mujhe shikwa nahin be-rahm kuchh tere taghaful se
khule-bandon phire tu haal kya jaane asiron ka

dil-e-yaqut hai tujh lal-e-lab ke rashk se pur-khun
tere dandan ke aage ghat gaya hai mol hiron ka

kiya hai us nishan-andaz ne tarkash tahi mujh par
meri chhati sira ho jis upar toda hai tiron ka

hamein diwan-khane se kisi munim ke kya 'hatim'
hai aazadon ke gar rahne ko bas takiya faqiron ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close