ajab hi dhang se ab anjuman-arai hoti hai jahan par bhi rahen hum sath mein tanhai hoti hai fatuhat-e-dil-o-jaan par yun mat itra mere lashkar ki is maidan mein fil-faur hi paspai hoti hai ye mela waqt ka hai hath us ke hath mein rakhna bichhad jaen yahan to phir kahan yakjai hoti hai hum aise kuchh bhi kar len un ki tah ko pa nahin sakte amir-e-shahr ki baaton mein wo gahrai hoti hai salasat se bayan ahwal-e-dil karna hai ek khubi basa-auqat chup rahna bhi to danai hoti hai zaban-e-khalq goyai ke gauhar to lutati hai labon par jo nahin aati wahi sachchai hoti hai