ajab nahin hai mualij shifa se mar jaen

ajab nahin hai mualij shifa se mar jaen
mariz zahr samajh kar dawa se mar jaen

ye soch kar hi hamein khud-kushi sawab lagi
jo ki hai man ne to phir bad-dua se mar jaen

ye ehtijaj samundar ke dam ko kafi hai
kisi kinare pe do-chaar pyase mar jaen

fasadiyon ko main is shart par riha karunga
ki fakhta ke paron ki hawa se mar jaen

tu apne lahje ki riqqat ko thoda kam kar de
faqir log na teri sada se mar jaen

utha ke phirte hain hum aap sirf nam to len
qasam se aap to kase ki ka se mar jaen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close