ajib dukh hai labon par gila koi bhi na tha

ajib dukh hai labon par gila koi bhi na tha
bichhadte waqt kisi se khafa koi bhi na tha

har ek shakhs ko sachche huruf azbar the
kisi ke pas magar moajiza koi bhi na tha

ba-nam-e-husn sabhi guftugu kamal ki thi
ye aur baat sar-e-aina koi bhi na tha

azab-e-zehn thi ek mehr aab-o-dane par
tere nagar mein khushi se raha koi bhi na tha

pas-e-zamir adalat sabhi ko hasil thi
magar ba-waqt-e-zarurat khara koi bhi na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close