ajib shaKHs hai dharti pe aasman sa hai

ajib shakhs hai dharti pe aasman sa hai
khuda maqam nahin phir bhi la-makan sa hai

uge jo subh ka suraj to ek machine hai wo
dhale jo sham to phir jism ki takan sa hai

sukut-e-dasht-e-tamanna hai us ko ja-e-panah
nawah-e-ariz-o-gesu mein be-nishan sa hai

barahna rahta hai shamshir-e-be-aman ki tarah
har ek shakhs yahan us se bad-guman sa hai

utha na paega yak lamha-e-nashat wajud
wo apni tegh-e-nafas se lahuluhan sa hai

nigah-dar-e-falak ta-falak raha wo 'kamal'
aur ab zamin pe tuti hui kaman sa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close