ajib shokhi-e-duniya mein ji raha hun main isi ka jam-e-gharibana pi raha hun main tha ja wo bant diya apnon aur ghairon mein ab apni jeb ke surakh si raha hun main jahan tasawwur-e-insan thak ke haarta hai isi mahaz-e-abas mein kabhi raha hun main kisi ne puchha kisi ke kisi khayal mein the kaha jawab mein main ne ki ji raha hun main kisi bhi rishte ki kuchh ibtidai muddat tak bataur-e-ala-e-araishi raha hun main ba-qaul rawi-e-kashana-ha-e-jaanan ke kisi ki aarzu-e-akhiri raha hun main ab us ki tund-mizaji ne ye dhara ilzam ki us ka pairahan-e-atishi raha hun main ye ittisaf ye nisbat baja hai ek had tak sarapa paikar-e-azurdagi raha hun main kahin kahin meri aahon mein ajnabiyyat thi so dusron ke liye ajnabi raha hun main khabar main leta hun 'tamjid' apne aap ki jo khud apne aap ka akhbarchi raha hun main