ajib tishnagi har su mere badan mein hai kisi sarab ka aahu mere badan mein hai kisi se ishq sa hone ko hai ye tum ho kya nae gulab ki khushbu mere badan mein hai kabhi kisi se bhi khul kar main mil nahin sakta mujhe khabar hai ki bas tu mere badan mein hai mahal ko chhod ke aa jati hain zulekhaen na jaane kaun sa jadu mere badan mein hai sadaqaten khanak uthti hain baat jab nikle wahi zaban wo talu mere badan mein hai mere qarib jo aao to dil bada rakhna buri-bhali ghiri har khu mere badan mein hai siyasaton ne go shaitan hi kar diya mujh ko nahin main bhulta sadhu mere badan mein hai mere muqable huron ka qafila 'azhar' bala se zabt hai qabu mere badan mein hai