ajnabiyat thi magar khamosh istifsar par nam us ne ek alamat mein likha diwar par raegan jati hui umr-e-rawan ki ek jhalak taziyana hai qanaat-ashna kirdar par dushmanon ke darmiyan mera muhafiz hai qalam main ne har talwar roki hai isi talwar par din ho jaisa bhi guzar jata hai apne taur se raat hoti hai magar bhaari tere bimar par sust-gami le ke manzil tak chali aai mujhe tez-rau ahbab hairan hain meri raftar par shab ke sannate hi mein karta hai sachchi guftugu shahr apna dukh sunata hai dar o diwar par zindagi karna wo mushkil fan hai 'ashhar' hashmi jaise ki chalna pade bijli ke nange tar par
Please share if you liked this!!!