aks-e-ruKH-e-gulgun se tamasha nazar aaya

aks-e-rukh-e-gulgun se tamasha nazar aaya
aaina unhin phulon ka duna nazar aaya

khubi mein do-baala wo sarapa nazar aaya
pur-nur badan paikar-e-jauza nazar aaya

dil khush guhron ka hamein sahra nazar aaya
kya gard-e-yatimi ka bagula nazar aaya

nairangi-e-hairat se rawan rahte hain aansu
taswir ka dariya hamein bahta nazar aaya

nikla jo hawa-war mein wo rashk-e-sulaiman
udta su-e-aflak farishta nazar aaya

baalida hai har shisha-e-mai ab ki yahan tak
ek ek falak pamba-e-mina nazar aaya

khilat mujhe wahshat ne diya wusat-e-dil ka
jame mein mere daman-e-sahra nazar aaya

nazron mein ye chhaya hai ghubar-e-dil-e-wahshi
har aankh mein aansu mujhe dhela nazar aaya

wo aaina-sima hai dil-e-sakht-adu mein
botal mein utarte hue shisha nazar aaya

aashiq tere palkon ka hua zinda-e-jawed
suli ka kharidar masiha nazar aaya

zahid ne bhi aqd aaj kiya bint-e-inab se
juft-e-bat-e-mai murgh-e-musalla nazar aaya

bargashta-nasibi-e-sadaf-e-dil ki kahun kya
moti ke ewaz is mein phaphula nazar aaya

aaina-e-geti mein wahi aks hai har su
hum ne jidhar us shokh ko dekha nazar aaya

karte ho mere paikar-e-wahmi ko nishana
nawak mein tumhaare par-e-anqa nazar aaya

us but ke nahane se hua saf ye pani
moti bhi sadaf mein tah-e-dariya nazar aaya

us hur ki rangat udi rone se hamare
rang-e-gul-e-firdaus bhi kachcha nazar aaya

shisha mai-e-gulgun ka unhen madd-e-nazar hai
tegh-e-nigah-e-mast mein chhaala nazar aaya

ho jaenge sab koh-e-jahan sang-e-falakhan
wahshat mein jo aalam tah-o-baala nazar aaya

shamen jo bujhin bazm-e-tilismat ko dekha
aankhen jo huin band to kya kya nazar aaya

kyun khush na ho til baith ke mizan-e-falak mein
mauzun-e-qad-e-yar ka palla nazar aaya

mil mil gae hain khak mein lakhon dil-e-raushan
har zarra mujhe arsh ka tara nazar aaya

aankhon mein khatakti hai yahi daulat-e-duniya
har sikke ki machhli mein bhi kanta nazar aaya

hai bud-e-jahan naqsh sar-e-ab nazar mein
ye khel hamein ban ke bigadta nazar aaya

hairat-kada-e-dahr hua mujh se mukaddar
aaina-e-ijad mein dhabba nazar aaya

khush aate nahin dant kisi hur ke mujh ko
chaak-e-gul-e-firdaus mein bakhiya nazar aaya

muddat se nazar-dokhta rahte hain giraftar
gesu ki bhi zanjir mein tanka nazar aaya

champa-kali us mast-e-mai-e-husn ki dekhi
gardan ki surahi ka ye mina nazar aaya

madfun hua zer-e-zamin aap ka laghar
chashm-e-lahad-e-tang mein jala nazar aaya

kalkatta mein har dam hai 'munir' aap ko wahshat
har kothi mein har bangle mein jangla nazar aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close