amir-e-shahr is ek baat se KHafa hai bahut

amir-e-shahr is ek baat se khafa hai bahut
ki shahar bhar mein sag-e-dard chikhta hai bahut

har ek zakhm se zakhmon ki konplen phutin
jo bagh tum ne lagaya tha ab hara hai bahut

zara si narm-rawi se pahunch gae dil tak
tanaw tha to samajhte the fasla hai bahut

jo dam ghute to shikayat na kijiye sahab
ki sans lene ko zahron bhari hawa hai bahut

charagh lakhon hon raushan nazar nahin aate
yahan to chehra-paraston ko ek diya hai bahut

ye tai hai mujh se kabhi tark haq nahin hoga
ki meri khak mein ye kimiya mila hai bahut

mumasalat ke hawalon mein mat talash karo
umumiyat se hamari ghazal juda hai bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close