andhere dhundne nikle khandar kyun khuda jaane hue ye dar-ba-dar kyun ye bu ujde hue bazar ki hai meri basti hui na-mo'tabar kyun samaat munjamid si ho rahi hai magar shoala-bayani par asar kyun agar ehsas hi hairat-zada hai to kandhe par liye phirte ho sar kyun ye bojhal sham ka dhundla tasawwur mere ehsas par chhaya magar kyun mizaj-e-shahr mein tabdiliyan hain mere tewar badalte dekh kar kyun jahan patthar tarashe ja rahe hon wahan khema lagaen shishagar kyun khala se dekhna hai 'rind' duniya to phir thahrun purane chand par kyun