andheri shab diya jugnu qamar nain

andheri shab diya jugnu qamar nain
safar mein ab koi bhi ham-safar nain

hum aise band kamron ke makin hain
jahan taza hawaon ka guzar nain

khushamad chaplusi jhut ghibat
hamare pas to koi hunar nain

jo ghurbat ke andheron mein pale hain
nai tahzib ka un par asar nain

ajab mausam mila hai zindagi ko
nai rut hai darakhton par samar nain

sabab apni hazimat ke kai the
bas ek tanha bahadur-shah-zafar nain

ye kis jaanib safar tum kar rahe ho
ab aankhon mein umidon ka nagar nain

guzarne ka udhar se lutf hi kya
jidhar maujen talatum aur bhanwar nain

us aane wale kal ka kya bharosa
jin agle chand lamhon ki khabar nain

koi ek raat hi mein khatm kar le
main qissa is qadar bhi mukhtasar nain

jise 'rukhsar' ab main sah raha hun
musalsal ek aziyyat hai safar nain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close