anjaane KHwab ki KHatir kyun chain ganwaya

anjaane khwab ki khatir kyun chain ganwaya
kab waqt ka panchhi thera kab saya hath mein aaya

ek nur ki chadar simti be-jaan faza dhundlai
ghar aae ghanere baadal ya chand gahan mein aaya

aankhon se nashili shab ki dhoti rahi shabnam kajal
har samt syahi phaili har samt andhera chhaya

jo baat labon par aai wo baat bani afsana
ek git ko is duniya ne kitni hi dhunon mein gaya

dil dard se bhar bhar aaya palkon pe na chamke aansu
aankhon ne samundar bhar ke qatre ke liye tarsaya

aise bhi zamane guzre din soya raaten jagin
ehsas ka rangin aanchal sannaton mein lahraya

khushiyon ko to chhoda hum ne ek khel samajh kar 'anjum'
jis gham ko rag-e-jaan samjha us gham ne hamein thukraya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close