anjuman mein jo meri itni ziya hai sahab khun-e-dil mere charaghon ki ghiza hai sahab but-shikan nikla wahi samjha tha jis ko but-gar jis mein rahta tha wahi tod gaya hai sahab aankh se aansu chura le gaya lekin wo shakhs be-guhar sip yahin chhod gaya hai sahab mujh ko jannat ke nazare bhi nahin jachte hain shahr-e-jaanan hi tasawwur mein basa hai sahab regzaron ke safar pe jo chale ho 'alok' koi aankhon mein liye ashk khada hai sahab