apna ghar chhoD ke hum log wahan tak pahunche

apna ghar chhod ke hum log wahan tak pahunche
subh-e-farda ki kiran bhi na jahan tak pahunche

main ne aankhon mein chhupa rakkhe hain kuchh aur charagh
raushni subh ki shayad na yahan tak pahunche

be-kahe baat samajh lo to munasib hoga
is se pahle ki yahi baat zaban tak pahunche

tum ne hum jaise musafir bhi na dekhe honge
jo bahaaron se chale aur khizan tak pahunche

aaj pindar-e-tamanna ka fusun tut gaya
chand kam-zarf gile nok-e-zaban tak pahunche


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close