apna sa shauq auron mein laen kahan se hum

apna sa shauq auron mein laen kahan se hum
ghabra gae hain be-dili-e-hamrahan se hum

kuchh aisi dur bhi to nahin manzil-e-murad
lekin ye jab ki chhut chalen karwan se hum

ai yaad-e-yar dekh ki ba-wasf-e-ranj-e-hijr
masrur hain teri khalish-e-na-tawan se hum

malum sab hai puchhte ho phir bhi muddaa
ab tum se dil ki baat kahen kya zaban se hum

ai zohd-e-khushk teri hidayat ke waste
saughat-e-ishq lae hain ku-e-butan se hum

betabiyon se chhup na saka haal-e-arzu
aakhir bache na us nigah-e-bad-guman se hum

pirana-sar bhi shauq ki himmat buland hai
khwahan-e-kaam-e-jaan hain jo us naujawan se hum

mayus bhi to karte nahin tum za-rah-e-naz
tang aa gae hain kashmakash-e-imtihan se hum

khalwat banegi tere gham-e-jaan-nawaz ki
lenge ye kaam apne dil-e-shadman se hum

hai intiha-e-yas bhi ek ibtida-e-shauq
phir aa gae wahin pe chale the jahan se hum

'hasrat' phir aur ja ke karen kis ki bandagi
achchha jo sar uthaen bhi is aastan se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close