apne andar ka kuchh ubaal nikal ai sukhnawar naya khayal nikal log malbe tale dabe hue hain chhod kaghaz qalam kudal nikal tu bahut waqt le chuka hai mera ab mere roz-o-mah-o-sal nikal ya meri baat ka jawab bana ya mere zehn se sawal nikal dekhta hun main teri shishagari chal zara aaine se baal nikal jod aainda ko guzishta se aur is mein se mera haal nikal is ko chun-o-chara pasand nahin hai apni baaton se qil-o-qal nikal main tere samne pada hua hun aaine mere khadd-o-khal nikal tu to kahta tha sainkadon hain 'aziz' chal koi ek hi nikal nikal