apne anjam se darta hun main dil dhadakta hai ki sachcha hun main mera saqi hai bada dariya-dil phir bhi pyasa hun ki sahra hun main aur kis ko ho mere zahr ki tab apne hi aap ko dasta hun main kyun karun pairwi-e-gautam o qais jab bhare ghar mein bhi tanha hun main tha wo kuchh hum se ziyaada hi mariz jis ka dawa tha masiha hun main kya nahin hai koi mai hosh-gudaz jitni pita hun sambhalta hun main