apne dushman hazar nikle hain

apne dushman hazar nikle hain
han magar ba-waqar nikle hain

hum bhi kya baada-khwar ho jaen
shaikh to baada-khwar nikle hain

ghar ka rasta na mil saka hum ko
ghar se jo ek bar nikle hain

chand bin chandni kahan hogi
go sitare hazar nikle hain

khun-e-dil de ke jin ko sincha tha
nakhl sab khar-dar nikle hain

band kuche ki dusri jaanib
raste be-shumar nikle hain

baad ek umr ki khamoshi ke
misre sab zor-dar nikle hain

hum to samjhe the mast hain 'asi'
aap bhi hoshiyar nikle hain

koi kahta tha khush hain 'asi-ji'
wo magar dil-figar nikle hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close