apne pahle makan tak ho aaun main zara aasman tak ho aaun koi paikar pukarta hai mujhe samne ki chatan tak ho aaun jhadta jata hai jism roz-ba-roz kuza-gar ki dukan tak ho aaun sehr-e-tashkik! ab rihai de main koi dam guman tak ho aaun waqt ab dastaras mein hai 'akhtar' ab to main jis jahan tak ho aaun