apne riste hue zaKHmon ki qaba laya hun

apne riste hue zakhmon ki qaba laya hun
zindagi meri taraf dekh ki main aaya hun

kisi sunsan jazire se pukaro mujh ko
main sadaon ke samundar mein nikal aaya hun

kaam aai hai wahi chhanw ghani bhi jo na thi
waqt ki dhup mein jis waqt main kumhlaya hun

khairiyat puchhte hain log bade tanz ke sath
jurm bas ye hai ki ek shokh ka ham-saya hun

subh ho jae to us phul ko dekhun ki jise
main shabistan-e-bahaaran se utha laya hun

asr-e-nau mujh ko nigahon main chhupa kar rakh le
ek mitti hui tahzib ka sarmaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close