apni gumshudgi ki afwahen main phailata raha

apni gumshudgi ki afwahen main phailata raha
jo bhi khat aae bina khole hi lautata raha

zehn ke jangal mein khud ko yun bhi bhatkata raha
uljhanen jo thin nahin un ko hi suljhata raha

muskurahat ki bhi aakhir asliyat khul hi gai
gham zamane se chhupane ka maza jata raha

aur rangin ho gai us ke tabassum ki dhanak
ishq ka suraj haya ki barf pighlata raha

mera chehra kho gaya chehron ke is bazar mein
jaane kya kya rup main duniya ko dikhlata raha

shahr ke chaurahe par pai thi us ne tarbiyat
umr bhar auron ke aage hath phailata raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close