apni hasti ka agar husn numayan ho jae

apni hasti ka agar husn numayan ho jae
aadmi kasrat-e-anwar se hairan ho jae

tum jo chaho to mere dard ka darman ho jae
warna mushkil hai ki mushkil meri aasan ho jae

o namak-pash tujhe apni malahat ki qasam
baat to jab hai ki har zakhm namakdan ho jae

dene wale tujhe dena hai to itna de de
ki mujhe shikwa-e-kotahi-e-daman ho jae

us siyah-bakht ki raaten bhi koi raaten hain
khwab-e-rahat bhi jise khwab-e-pareshan ho jae

sina-e-shibli-o-mansur to phunka tu ne
is taraf bhi karam ai jumbish-e-daman ho jae

aakhiri sans bane zamzam-e-hu apna
saz-e-mizrab-e-fana tar-e-rag-e-jaan ho jae

tu jo asrar-e-haqiqat kahin zahir kar de
abhi 'bedam' rasan-o-dar ka saman ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close