apni hasti ke kamalat se bahar nikle

apni hasti ke kamalat se bahar nikle
wo agar mere khayalat se bahar nikle

dafn kar rakkhe the sine ke kisi kone mein
raaz jo tere sawalat se bahar nikle

ishq khaega nahin yar ye wada hai mera
us se kah do ki wo khadshat se bahar nikle

us ke wadon pe bhi kar lenge bharosa wo agar
shahr-e-kufa ke mazafat se bahar nikle

us ki aankhon ne pukara to gine tak na gae
rind kitne hi kharabaat se bahar nikle

aur bhi khali hain duniya mein thikane lakhon
us se kah do ki meri zat se bahar nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close