apni jaan-bazi ka jis dam imtihan ho jaega

apni jaan-bazi ka jis dam imtihan ho jaega
khanjar-e-saffak par jauhar ayan ho jaega

aah-e-sozan ka agar uncha dhuan ho jaega
aasman ek aur zer-e-asman ho jaega

kuchh samajh kar us mah-e-khubi se ki thi dosti
ye na samjhe the ki dushman aasman ho jaega

le khabar bimar-e-gham ki warna ai rashk-e-masih
teri furqat mein firaq-e-jism-o-jaan ho jaega

khak kar dega mujhe aakhir siyah-chashmon ka ishq
jism-e-khaki gard-e-pa-e-ahuwan ho jaega

jab ada se wo karega qatl mujh ko ai 'asar'
kushta-e-shamshir-e-hairat ek jahan ho jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close