mera ham-safar kabhi wahm tha kabhi KHwab tha kabhi kya raha

mera ham-safar kabhi wahm tha kabhi khwab tha kabhi kya raha
main ajib haal mein mast tha so mera mazaq bana raha

meri mushkilon ne ayan kiya mera yar dost koi nahin
so qabil-e-hirs-o-hawas mein main akela dat ke khada raha

mere aashiyan ko jala gain mere kham soch ki hiddaten
mera sar haya se na uth saka main nadamaton mein pada raha

tujhe fakhr tha tere husn par mujhe zoam tha mere ishq ka
tu padi rahi kisi sej par main bhi gard-e-rah bana raha

tere lams lams se ji utha mere sard jism ka rome rome
tu meri gali se chali gai main teri gali mein pada raha

mere bagh-e-dil pe khizan rahi meri shakh shakh ujad gai
mere panw khun se tar-ba-tar mera zakhm yun bhi hara raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close