apni kaifiyyaten har aan badalti hui sham

apni kaifiyyaten har aan badalti hui sham
munjamid hoti hui aur pighalti hui sham

dagmagati hui har-gam sambhalti hui sham
khwab-gahon se udhar khwab mein chalti hui sham

gundh kar motiye ke haar ghani zulfon mein
aariz-o-lab pe shafaq surkhiyan malti hui sham

ek jhalak poshish-e-be-zabt se uryani ki
de gai din ke nashebon se phisalti hui sham

ek sannata rag-o-pai mein sada gunjta hai
bujh gai jaise lahu mein koi jalti hui sham

waqt baptisma kare aab-e-sitara se use
dast-e-duniya ki daraazi se nikalti hui sham


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close