apni sansen meri sanson mein mila ke rona

apni sansen meri sanson mein mila ke rona
jab bhi rona mujhe sine se laga ke rona

qaid-e-tanhai se nikla hun abhi jaan-e-safar
mujh se milna mujhe zulfon mein chhupa ke rona

itna saffak na tha ghar ka ye manzar pahle
teri yaadon ke charaghon ko bujha ke rona

hum ne is tarah bhi kati hain bahut si raaten
dil ke khush rakhne ko afsane suna ke rona

kitne be-dard hain is des mein rahne wale
apne hathon tujhe suli pe chadha ke rona

gham-e-dauran ne tere lutf ki mohlat hi na di
ye bhi hona tha sar-e-shab tujhe pa ke rona


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close