apni taqdir ka shikwa nahin likhkha main ne khud ko mahrum-e-tamanna nahin likhkha main ne ai qalam karna mere hath ki laghzish ko muaf tujh se shahon ka qasida nahin likhkha main ne gir na jae tere meyar se andaz-e-huruf yun kabhi nam bhi tera nahin likhkha main ne hun isi jurm ki padash mein pyasa shayad tapte sahraon ko dariya nahin likhkha main ne aaj ka khat hi use bheja hai kora lekin aaj ka khat hi adhura nahin likhkha main ne jo na pahchan saka waqt ki nabzen 'hamid' us masiha ko masiha nahin likhkha main ne