ashk aankhon se piya bhi na bahaya humne

ashk aankhon se piya bhi na bahaya hum ne
aag ko dil mein kuchh is tarah chhupaya hum ne

wo kabhi apne hue aur na wo ghair hue
un ko khoya bhi nahin aur na paya hum ne

dil to pahle hi se zakhmi hai dukhi aur na kar
ai zamane tera har bar uthaya hum ne

hum se milte hain wahi dushman-e-jaani ki tarah
jis kisi ko bhi yahan apna banaya hum ne

sar jhukae rahe is waste har ek lamha
ai khuda tujh ko har ek zarre mein paya hum ne

hadisa kya tha 'kiran' kuchh na samajh mein aaya
umr bhar kis ke liye khud ko ganwaya hum ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close