ashk-e-gham shorish-e-pinhan ki KHabar dete hain

ashk-e-gham shorish-e-pinhan ki khabar dete hain
ye wo qatre hain jo tufan ki khabar dete hain

qalb-e-sozan mein shab-o-roz machalte jazbaat
garmi-e-shauq-e-farawan ki khabar dete hain

in sisakte hue ghunchon ko hiqarat se na dekh
ye tujhe nazm-e-gulistan ki khabar dete hain

tere mai-khane ke dam todte aaen saqi
kisi taghir-e-numayan ki khabar dete hain

wo ufuq par jo ujale se nazar aate hain
aamad-e-subh-e-darakhshan ki khabar dete hain

sehn-e-gulshan mein ba-har-an badalte hue rang
ek nae daur-e-bahaaran ki khabar dete hain

haq to ye hai ki khalaon ke safar ai 'mansha'
azmat-e-rutba-e-insan ki khabar dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close