ashk zaea ho rahe the dekh kar rota na tha

ashk zaea ho rahe the dekh kar rota na tha
jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha

sirf teri chup ne mere gal gile kar diye
main to wo hun jo kisi ki maut par rota na tha

mujh pe kitne sanahe guzre par in aankhon ko kya
mera dukh ye hai ki mera ham-safar rota na tha

main ne us ke wasl mein bhi hijr kata hai kahin
wo mere kandhe pe rakh leta tha sar rota na tha

pyar to pahle bhi us se tha magar itna nahin
tab main us ko chhu to leta tha magar rota na tha

girya-o-zari ko bhi ek khas mausam chahiye
meri aankhen dekh lo main waqt par rota na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close