asir-e-panja-e-ahd-e-shabab kar ke mujhe

asir-e-panja-e-ahd-e-shabab kar ke mujhe
kahan gaya mera bachpan kharab kar ke mujhe

kisi ke dard-e-mohabbat ne umr-bhar ke liye
khuda se mang liya intikhab kar ke mujhe

ye un ke husn ko hai surat-afrin se gila
ghazab mein dal diya la-jawab kar ke mujhe

wo pas aane na pae ki aai maut ki nind
nasib so gae masruf-e-khwab kar ke mujhe

mere gunah ziyaada hain ya teri rahmat
karim tu hi bata de hisab kar ke mujhe

main un ke parda-e-be-ja se mar gaya 'muztar'
unhon ne mar hi dala hijab kar ke mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close