aur hi wo log hain jin ko hai yazdan ki talash mujh ko insanon ki duniya mein hai insan ki talash main nahin kahta ki duniya mein hai ulfat ki kami mujh ko hai lekin isi jins-e-farawan ki talash bar-e-khatir hai hayat-e-pur-sukun o pur-jumud main wo sahil hun jise rahti hai tufan ki talash is jahan ko jab bana sakta hai wo rashk-e-iram jaane kyun insan ko hai firdaus-e-viran ki talash ai sukun-e-jaan mujhe aisi hi hai teri talab chashm-e-nam ko jis tarah rahti hai daman ki talash