azab-e-did ka muzhda suna raha hai mujhe

azab-e-did ka muzhda suna raha hai mujhe
kisi ki baat suna kar jala raha hai mujhe

wo apne sach ko kabhi kar nahin saka sabit
jo ek umr se jhuta bana raha hai mujhe

jo shakhs mim ke mafhum tak nahin pahuncha
khuda ki shan mohabbat sikha raha hai mujhe

use uruj ka mafhum aa gaya hai samajh
so is liye bhi nazar se hata raha hai mujhe

hisar-e-ranj-o-alam tutta nahin kyun-kar
ye hadsat ka rona rula raha hai mujhe

main be-yaqini ke sahra ko par to kar lun
magar jo ek samundar bula raha hai mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close