azal ki yaad mein main garm-e-ah-e-sard hua

azal ki yaad mein main garm-e-ah-e-sard hua
lagi thi chot kabhi aur aaj dard hua

guzar gaya ye nigahon se tera markab-e-husn
tamam aalam-e-dil ek qadam mein gard hua

ghalat ki qabil-e-dar-o-rasan hon ahl-e-hawas
bandhai ishq ne himmat jise wo mard hua

pare wo aql se hain is yaqin ne rok liya
kabhi jo wahm ke pichhe mein rah-naward hua

tamam tajraba-e-garm-o-sard-e-ishq kahan
kuchh ashk-e-garm hua dil kuchh aah-e-sard hua

naqab un ki uthi thi ki hum hue behosh
nigah un se ladi thi ki dil mein dard hua

karam se apne mita do ki be-qarar hai ishq
mera wajud ki duniya ke dil ka dard hua

shuhud-e-be-jihat-o-kaif munsalik 'raghib'
junun use jo kisi samt rah-naward hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close