ba-sath-e-ab koi aks-e-na-tawan na paDa

ba-sath-e-ab koi aks-e-na-tawan na pada
hawa guzar bhi gai aur kahin nishan na pada

bade sukun se dekha hai jalte lamhon ko
hamari aankh mein warna dhuan kahan na pada

kathin bhi aisa na tha meri teri sulh ka kaam
koi bhi shakhs mere tere darmiyan na pada

hue hain khak khamoshi ke dasht mein kho kar
hamare kan mein hi shor-karwan na pada

bala ki dhup hai 'jafar' kisi ko hosh nahin
pada hai abr ka saya kahan kahan na pada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close