ba-wasf-e-shauq bhi dil ka kaha nahin karte

ba-wasf-e-shauq bhi dil ka kaha nahin karte
farogh-e-qamat-o-rukh ki sana nahin karte

shikast-e-ahd-e-sitam par yaqin rakhte hain
hum intiha-e-sitam ka gila nahin karte

kuchh is tarah se luti hai mata-e-dida-o-dil
ki ab kisi se bhi zikr-e-wafa nahin karte

isi liye hain sazawar-e-jaur-e-barq-e-sitam
ki haqq-e-khidmat-e-gulchin ada nahin karte

mazaq-e-kohkani ho ki dasht-paimai
jinhen tumhaari talab ho wo kya nahin karte

wo aashna-e-gham-e-kainat kya honge
jo khud ko aap ka dard-ashna nahin karte

gham-e-habib gham-e-zindagi gham-e-dauran
kisi maqam pe hum ji bura nahin karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close