ba-zahir rang KHushbu raushni yak-jaan hote hain

ba-zahir rang khushbu raushni yak-jaan hote hain
magar ye shahr andar se bahut viran hote hain

koi mane na mane guftugu karti hai khamoshi
pas-e-diwar-e-hasrat bhi kai tufan hote hain

ulajh jaen to suljhane ko ye umren bhi na-kafi
taaruf ke agarche silsile aasan hote hain

sarabon ki khabar rakhna gharon ko chhodne walo
kai ek be-dar-o-diwar bhi zindan hote hain

yahan sari ki sari raunaqen reg-e-rawan se hain
bagule hi to registan ki pahchan hote hain

palat aane ka rasta aur hi koi banata hai
musafir sab ke sab anjam se anjaan hote hain

to phir aankhon mein sapne ek se kyunkar nahin ugte
lakiron ke agar donon taraf insan hote hain

safar to chalte rahne ki lagan se shart hai 'azmi'
jinhen chalna bahut ho be-sar-o-saman hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close