baadban khulne se pahle ka ishaara dekhna main samundar dekhti hun tum kinara dekhna yun bichhadna bhi bahut aasan na tha us se magar jate jate us ka wo mud kar dobara dekhna kis shabahat ko liye aaya hai darwaze pe chand ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna kya qayamat hai ki jin ke nam par paspa hue un hi logon ko muqabil mein saf-ara dekhna jab banam-e-dil gawahi sar ki mangi jaegi khun mein duba hua parcham hamara dekhna jitne mein bhi jahan ji ka ziyan pahle se hai aisi bazi haarne mein kya khasara dekhna aaine ki aankh hi kuchh kam na thi mere liye jaane ab kya kya dikhaega tumhaara dekhna ek musht-e-khak aur wo bhi hawa ki zad mein hai zindagi ki bebasi ka istiara dekhna