baal bikhere aaj pari turbat par mere aaegi

baal bikhere aaj pari turbat par mere aaegi
maut bhi meri ek tamasha aalam ko dikhlaegi

mahw-e-ada ho jaunga gar wasl mein wo sharmaegi
bar-e-khudaya dil ki hasrat kaise phir bar aaegi

kahida aisa hun main bhi dhunda kare na paegi
meri khatir maut bhi meri barson sar takraegi

ishq-e-butan mein jab dil uljha din kahan islam kahan
waiz kali zulf ki ulfat sab ko ram banaegi

changa hoga jab na mariz-e-kakul-e-shab-gun hazrat se
aap ki ulfat isa ki ab azmat aaj mitaegi

bahr-ayaadat bhi jo na aaenge na hamare baalin par
barson mere dil ki hasrat sar par khak udaegi

dekhunga mehrab-e-haram yaad aaegi abru-e-sanam
mere jaane se masjid bhi but-khana ban jaegi

ghafil itna husn pe ghurra dhyan kidhar hai tauba kar
aakhir ek din surat ye sab mitti mein mil jaegi

aarif jo hain un ke hain bas ranj o rahat ek 'rasa'
jaise wo guzri hai ye bhi kisi tarah nibh jaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close