baal-o-par rakhte nahin azm-e-safar rakhte hain shauq-e-parwaz ba-andaz-e-digar rakhte hain hath uthane ki koi shart dua mein kab hai tere ushshaq nigahon mein asar rakhte hain bil-irada na sahi yun hi kabhi aa jao pyar ke raste mein hum chhota sa ghar rakhte hain ye alag baat ki aate hain nazar zarra-sifat warna qadmon mein to hum shams-o-qamar rakhte hain dhup hai ret hai aur apna safar hai jari saya rakhte hain na hum log shajar rakhte hain us taraf wale nazar aate hain larzida magar is taraf wale kaf-e-dast pe sar rakhte hain pur-sukun hai jo faza us pe na jaana 'anjum' aashiyan kitne abhi barq-o-sharar rakhte hain