baam-o-dar par rengti parchhaiyan mujh se ab manus hain tanhaiyan ab samundar bhi bahut sathi hue ab rahin in mein na wo gahraiyan khana-e-dil ko karo aabaad phir mujh ko lauta do wahi ranaiyan ek thakan si jism par tari hui tut kar girne lagin parchhaiyan