bachpan tamam buDhe sawalon mein kaT gaya

bachpan tamam budhe sawalon mein kat gaya
school ki kitabon se ab ji uchat gaya

likkhe hue the sare farishton ke jis pe nam
shayad wahi waraq kisi bachche se phat gaya

taza hawa ki aas mein parde utha diye
bas ye hua ki gard mein saman at gaya

kal carnas pe dekh ke chidiyon ka khelna
be-wajh zehn us ke khayalon mein bat gaya

ek bachcha us khuli hui khidki mein jhank kar
sharma ke ghar jo bhaga to man se lipat gaya

kya kahta aur chaaragaron se wo be-zaban
zakhmi parinda apne paron mein simat gaya

sahra duhai deta raha apni pyas ki
baadal baras ke khushk chatanon pe chhat gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close