bada khushnuma ye maqam hai nai zindagi ki talash kar tu na apne zehn ki baat kar nai dosti ki talash kar tere aasman ka sar kabhi kisi aur zamin pe jhuk gaya ye hua to aisa hua hi kyun kabhi us kami ki talash kar kabhi khwahishon ke hujum mein jo phisal gae hain mere qadam jise pi ke dahr sambhal gaya usi mai-kashi ki talash kar jo bahaar ko bhi aziz thi wahi sham lutf-o-surur ki jise siskiyon ki nazar lagi usi zindagi ki talash kar jahan aadmi ki baqa rahe jahan fikr-o-fan ko jila mile jahan dard-e-nau ka pata mile wahan aagahi ki talash kar na udas sham ke falsafe na bahaar-e-subh ki raunaqen na asl zist ke zer-o-bam na to naghmagi ki talash kar jo bhi guftugu ka usul hai usi baat ka tu khayal rakh nai kaenat ki justuju nai raushni ki talash kar