badalte mausamon mein aab-o-dana bhi nahin hoga

badalte mausamon mein aab-o-dana bhi nahin hoga
ki pedon par parindon ka thikana bhi nahin hoga

baha le jaengi maujen kitab-e-zindagani ko
sunane ke liye koi fasana bhi nahin hoga

nawah-e-jaan mein ek din tum utar kar dekh bhi lena
tumhaare pas yaadon ka khazana bhi nahin hoga

tasawwur ki hadon se dur ja kar kaise dekhenge
agar tum se talluq ghaebana bhi nahin hoga

khula dar chhod aae the ki hijrat ka taqaza tha
wahan kya laut kar jaen thikana bhi nahin hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close