badan mein jag uthi kapkapahaten kaisi main sun raha hun ye farda ki aahaten kaisi makin ko yaad hazimat ki dastan hai magar to us ke ghar mein hain ye jagmagahaten kaisi shikast-e-dil ka jo ehsas ab bhi zinda hai to phir ye honton pe hain muskurahaten kaisi wajud tut raha ho to kaisi naghmagari jo dil sukun se na ho gungunahaten kaisi faraaz-e-dar muqaddar bane ki zahr ka jam dayar shauq mein ab hichkichahaten kaisi samajh ke sang jise chhu liya badan to na tha ragon mein daud gain sarsarahaten kaisi qubul-e-am ka mansab jo mere fan ko mila to doston ko huin tilmilahaten kaisi