badhe chalo ki zamane ko ye dikhana hai jahan hamare qadam hain wahin zamana hai ye husn-o-ishq ki tafriq ek bahana hai kahin nazar ko kahin dil ko aazmana hai ab is junun-e-talab ka koi thikana hai ki apne aap ko kho kar bhi un ko pana hai bas ek ishq hi aisa sharab-khana hai jahan surur ka mafhum hosh aana hai ilahi tamkanat-e-husn-o-naz-e-husn ki khair kuchh aaj ishq ka andaz walihana hai main har gunah ki haqiqat bata to dun sar-e-hashr magar unhen jo har ilzam se bachana hai zara junun-e-tamanna se dil guzar jae phir is ke baad koi dam hai na dana hai main jaanta hun jo hai farq-e-zat-o-partaw-e-zat meri nigah pas-e-parda-e-zamana hai kise nasib ho sajda ye aur baat hai 'kaif' har ek jabin ke qarib un ka aastana hai